us se bhi mil kar hamein marne ki hasrat rahi
us ne bhi jaane diya wo bhi sitamgar na tha
Mohammad Alvi
us se bichhaDte waqt main roya tha KHub-sa
ye baat yaad aai to pahron hansa kiya
Mohammad Alvi
us se mile zamana hua lekin aaj bhi
dil se dua nikalti hai KHush ho jahan bhi ho
Mohammad Alvi
use main ne bhi kal dekha tha 'alwi'
nae kapDe pahan ke ja raha tha
Mohammad Alvi
utar phenkun badan se phaTi purani qamis
badan qamis se baDh kar kaTa-phaTa dekhun
Mohammad Alvi
wo jangalon mein daraKHton pe kudte phirna
bura bahut tha magar aaj se to behtar tha
Mohammad Alvi
yar aaj main ne bhi ek kamal karna hai
jism se nikalna hai ji bahaal karna hai
Mohammad Alvi

