chah ka dawa sab karte hain manen kyunkar be-asar
ashk ki surKHi munh ki zardi ishq ki kuchh to alamat ho
Mir Taqi Mir
chaman mein gul ne jo kal dawa-e-jamal kiya
jamal-e-yar ne munh us ka KHub lal kiya
Mir Taqi Mir
chashm ho to aaina-KHana hai dahr
munh nazar aata hai diwaron ke bich
Mir Taqi Mir
dawa kiya tha gul ne tere ruKH se bagh mein
saili lagi saba ki to munh lal ho gaya
Mir Taqi Mir
de ke dil hum jo ho gae majbur
is mein kya iKHtiyar hai apna
Mir Taqi Mir
didani hai shikastagi dil ki
kya imarat ghamon ne Dhai hai
Mir Taqi Mir
didani hai shikastagi dil ki
kya imarat ghamon ne Dhai hai
Mir Taqi Mir

