KHwab Thahre the to aankhen bhigne se bach gain
warna chehre par to gham ki barishon ka aks hai
Malika Naseem
jal gae phir se kuchh hasin rishte
tanziya guftugu ki bhaTTi mein
Malikzada Javed
kam-umri mein sunet hain
mar jate hain achchhe log
Malikzada Javed
miyan us shaKHs se hoshiyar rahna
sabhi se jhuk ke jo milta bahut hai
Malikzada Javed
zindagi ek kahani ke siwa kuchh bhi nahin
log kirdar nibhate hue mar jate hain
Malikzada Javed
ab dekh ke apni surat ko ek choT si dil par lagti hai
guzre hue lamhe kahte hain aaina bhi patthar hota hai
Malikzada Manzoor Ahmad
ajib dard ka rishta hai sari duniya mein
kahin ho jalta makan apna ghar lage hai mujhe
Malikzada Manzoor Ahmad

