kisi buzurg ke bose ki ek nishani hai
hamare mathe pe thoDi si raushni hai na
Ahmad Ata
kisi ko KHwab mein aksar pukarte hain hum
'ata' isi liye sote mein honT hilte hain
Ahmad Ata
koi aisa to tere baad nahin rahna tha
haalat-e-hijr ko uftad nahin rahna tha
Ahmad Ata
koi guman hun koi yaqin hun ki main nahin hun
main DhunDhta hun ki main kahin hun ki main nahin hun
Ahmad Ata
kya hue log purane jinhen dekha bhi nahin
ai zamane hamein taKHir hui aane mein
Ahmad Ata
log hanste hain hamein dekh ke tanha tanha
aao baiThen kahin aur un pe hansen hum aur tum
Ahmad Ata
main teri ruh mein utra hua milunga tujhe
aur is tarah ki tujhe kuchh KHabar nahin honi
Ahmad Ata