kisi ki shaKHsiyat majruh kar di
zamane bhar mein shohrat ho rahi hai
Ahmad Ashfaq
lagta hai ki is dil mein koi qaid hai 'ashfaq'
rone ki sada aati hai yaadon ke khanDar se
Ahmad Ashfaq
meri kam-goi pe jo tanz kiya karte hain
meri kam-goi ke asbab se na-waqif hain
Ahmad Ashfaq
tark-e-ulfat ke baad bhi 'ashfaq'
tera rahta hai intizar mujhe
Ahmad Ashfaq
ye alag baat ki tajdid-e-talluq na hua
par use bhulna chahun to zamane lag jaen
Ahmad Ashfaq
aaj dekha hai use aisi mohabbat se 'ata'
wo yahi bhul gaya us ko kahin jaana tha
Ahmad Ata
ab yahan kaun nikalega bhala dudh ki nahr
ishq karta hai tu jaisa bhi hai achchha hai miyan
Ahmad Ata