dasht-e-junun se aa gae shahr-e-KHirad mein hum
dil ko magar ye saneha achchha nahin laga
Khalid Mubashshir
kahin ranjha, kahin majnun hua
wajud-e-ishq aalamgir hai
Khalid Mubashshir
meri wahshaton ka sabab kaun samjhe
ki main gum-shuda qafila chahta hun
Khalid Mubashshir
mujhe shak hai hone na hone pe 'KHalid'
agar hun to apna pata chahta hun
Khalid Mubashshir
Tapak ke dida-e-nam se sadaen deta hai
jo ek harf-e-tamanna dil-e-tabah mein tha
Khalid Mubashshir
isi miTTi se hasab aur nasab tha apna
kyun hue shahar mein aawara bahut mat puchho
Khalid Raheem
aankh kis lafz pe bhar aai hai
kaun si baat pe dil TuTa hai
Khalid Sharif

