usi ke honTon ke phul bab-e-qubul chumen
so hum uTha laen ab ke harf-e-dua usi ka
Kabir Ajmal
wo mere KHwab chura kar bhi KHush nahin 'ajmal'
wo ek KHwab lahu mein jo phail jaana tha
Kabir Ajmal
ye gham mera hai to phir ghair se ilaqa kya
mujhe hi apni tamanna ka bar Dhone de
Kabir Ajmal
yun KHush na ho ai shahr-e-nigaran ke dar o baam
ye wadi-e-saffak bhi rahne ki nahin hai
Kabir Ajmal
zamir o zehn mein ek sard jang jari hai
kise shikast dun aur kis pe fath paun main
Kabir Ajmal
zinda koi kahan tha ki sadqa utarta
aaKHir tamam shahr hi KHashak ho gaya
Kabir Ajmal
ek ek baat mein sachchai hai us ki lekin
apne wadon se mukar jaane ko ji chahta hai
Kafeel Aazar Amrohvi

