ai KHak-e-watan ab to wafaon ka sila de
main TuTti sanson ki fasilon pe khaDa hun
Javed Akram Farooqi
kitna mushkil hua jawab mujhe
kitna aasan tha sawal us ka
Javed Akram Farooqi
lamha lamha roz sanwarne wala tu
lamha lamha lamha roz bikharne wala main
Javed Akram Farooqi
main hathon mein KHanjar le kar soch raha hun
lauTunga to mera bhi ghar zaKHmi hoga
Javed Akram Farooqi
muskurane ki saza milti rahi
muskurane ki KHata karte rahe
Javed Akram Farooqi
safar mein tum hamare sath rahna
kahin hum raston mein kho na jaen
Javed Akram Farooqi
us ki album mein to taswir meri hai maujud
us ne taswir ko sine se lagaya na kabhi
Javed Jameel

