KHun se sinchi hai main ne jo zamin mar mar ke
wo zamin ek sitam-gar ne kaha us ki hai
Javed Akhtar
koi shikwa na gham na koi yaad
baiThe baiThe bas aankh bhar aai
Javed Akhtar
main bachpan mein khilaune toDta tha
mere anjam ki wo ibtida thi
Javed Akhtar
main pa saka na kabhi is KHalish se chhuTkara
wo mujh se jit bhi sakta tha jaane kyun haara
Javed Akhtar
main qatl to ho gaya tumhaari gali mein lekin
mere lahu se tumhaari diwar gal rahi hai
Javed Akhtar
mujhe dushman se bhi KHuddari ki ummid rahti hai
kisi ka bhi ho sar qadmon mein sar achchha nahin lagta
Javed Akhtar
mujhe mayus bhi karti nahin hai
yahi aadat teri achchhi nahin hai
Javed Akhtar

