sada na ujla din hi rahe aur sada na kali rain
rang badalta jae samay aur Tuk-Tuk dekhen nain
Jamal Panipati
samay ke sare khel hain pyare kah gae jagat 'kabir'
aap hansae aap rulae aap bandhae dhi
Jamal Panipati
samay ki rachna samay ka pher aur samay ke sab bahrup
kya andhiyare kya ujiyale kya chhanw kya dhup
Jamal Panipati
kunj-e-qafas hi jis ka muqaddar hua 'jamil'
us ki nazar mein daur-e-KHizan kya bahaar kya
Jameel Azimabadi
agh mein ja kar dekh liya
koi nahin tha tujh sa phul
Jameel Malik
dil ki qimat to mohabbat ke siwa kuchh bhi na thi
jo mile surat-e-zeba ke KHaridar mile
Jameel Malik
ek zara si bhul pe hum ko itna tu badnam na kar
hum ne apne ghao chhupa kar tere kaj sanware hain
Jameel Malik

