sharm aati hai ki us shahr mein hum hain ki jahan
na mile bhik to lakhon ka guzara hi na ho
Jaan Nisar Akhtar
tujhe banhon mein bhar lene ki KHwahish yun ubharti hai
ki main apni nazar mein aap ruswa ho sa jata hun
Jaan Nisar Akhtar
ye ilm ka sauda ye risale ye kitaben
ek shaKHs ki yaadon ko bhulane ke liye hain
Jaan Nisar Akhtar
zulfen sina naf kamar
ek nadi mein kitne bhanwa
Jaan Nisar Akhtar
hulta hi nahin wo dil se use
hum ne sau sau tarah bhula dekha
Jafar Ali Hasrat
kis ka hai jigar jis pe ye bedad karoge
lo dil tumhein hum dete hain kya yaad karoge
Jafar Ali Hasrat
tumhein ghairon se kab fursat hum apne gham se kam KHali
chalo bas ho chuka milna na tum KHali na hum KHali
Jafar Ali Hasrat

