اردو हिंदी
Na jaane kab wo palaT aaen dar khula rakhna | Shaahi Shayari
na jaane kab wo palaT aaen dar khula rakhna

Ghazal

Na jaane kab wo palaT aaen dar khula rakhna

Iftikhar Naseem

;

na jaane kab wo palaT aaen dar khula rakhna
gae hue ke liye dil mein kuchh jagah rakhna

hazar talKH hon yaaden magar wo jab bhi mile
zaban pe achchhe dinon ka hi zaiqa rakhna

na ho ki qurb hi phir marg-e-rabt ban jae
wo ab mile to zara us se fasla rakhna

utar phenk de KHush-fahmiyon ke sare ghilaf
jo shaKHs bhul gaya us ko yaad kya rakhna

abhi na ilm ho us ko lahu ki lazzat ka
ye raaz us se bahut der tak chhupa rakhna

kabhi na lana masail gharon ke daftar mein
ye donon pahlu hamesha juda juda rakhna

uDa diya hai jise chum kar hawa mein 'nasim'
use hamesha hifazat mein ai KHuda rakhna