wo ishq ko kis tarah samajh paega jis ne
sahra se gale milte samundar nahin dekha
Humaira Rahat
wo mujh ko aazmata hi raha hai zindagi bhar
magar ye dil ab us ko aazmana chahta hai
Humaira Rahat
ye kis ki yaad ki barish mein bhigta hai badan
ye kaisa phul sar-e-shaKH-e-jaan khila hua hai
Humaira Rahat
zikr sunti hun ujale ka bahut
us se kahna ki mere ghar aae
Humaira Rahat
ajab mazaq us ka tha ki sar se panw tak mujhe
wafaon se bhigo diya nadamaton ki soch mein
Humaira Rahman
guzashta mausamon mein bujh gae hain rang phulon ke
daricha ab bhi mera raushni ke zawiyon par hai
Humaira Rahman
hum aur tum jo badal gae to itni hairat kya
aks badalte rahte hain aainon ki KHati
Humaira Rahman

