اردو हिंदी
Suraj koi na koi sitara tulua ho | Shaahi Shayari
suraj koi na koi sitara tulua ho

Ghazal

Suraj koi na koi sitara tulua ho

Afsar Jamshed

;

suraj koi na koi sitara tulua ho
tanha agar KHuda hai to tanha tulua ho

be-rishtagi ka ek samundar hai aur main
muddat se muntazir hun kinara tulua ho

aa mere pas aur kabhi is tarah chamak
mere badan se bhi tera saya tulua ho

'jamshed' kya karoge agar yun bhi ho kabhi
suraj ke daere se andhera tulua ho