kya shaKHs tha uData raha umr bhar mujhe
lekin hawa se hath milane nahin diya
Hasan Abbas Raza
main phir ek KHat tere aangan girana chahta hun
mujhe phir se tera rang-e-burida dekhna hai
Hasan Abbas Raza
main tark-e-talluq pe bhi aamada hun lekin
tu bhi to mera qarz-e-gham-e-hijr ada ka
Hasan Abbas Raza
makin yahin ka hai lekin makan se bahar hai
abhi wo shaKHs meri dastan se bahar hai
Hasan Abbas Raza
mohabbaten to faqat intihaen mangti hain
mohabbaton mein bhala e'tidal kya karna
Hasan Abbas Raza
sawal ye nahin mujh se hai kyun gurezan wo
sawal ye hai ki kyun jism o jaan se bahar hai
Hasan Abbas Raza
sham-e-widaa thi magar us rang-baz ne
panw pe honT rakh diye jaane nahin diya
Hasan Abbas Raza

