dil ke sune sehn mein gunji aahaT kis ke panw ki
dhup-bhare sannaTe mein aawaz suni hai chhanw ki
Hammad Niyazi
haar diya hai ujlat mein
KHud ko kis aasani se
Hammad Niyazi
hum aise log jo aainda o guzishta hain
hamare ahd ko maujud se tahi kiya jae
Hammad Niyazi
hum is KHatir teri taswir ka hissa nahin the
tere manzar mein aa jae na virani hamari
Hammad Niyazi
kab mujhe us ne iKHtiyar diya
kab mujhe KHud pe iKHtiyar aaya
Hammad Niyazi
kachchi qabron par saji KHushbu ki bikhri lash par
KHamushi ne ek nae andaz mein taqrir ki
Hammad Niyazi
main apne bap ke sine se phul chunta hun
so jab bhi sans thami bagh mein Tahal aaya
Hammad Niyazi

