hamare shahr ke logon ka ab ahwal itna hai
kabhi aKHbar paDh lena kabhi aKHbar ho jaana
Ada Jafri
hazar kos nigahon se dil ki manzil tak
koi qarib se dekhe to hum ko pahchane
Ada Jafri
honTon pe kabhi un ke mera nam hi aae
aae to sahi bar-sar-e-ilzam hi aae
Ada Jafri
hua yun ki phir mujhe zindagi ne basar kiya
koi din the jab mujhe har nazara hasin mila
Ada Jafri
jis ki baaton ke fasane likkhe
us ne to kuchh na kaha tha shayad
Ada Jafri
jis ki jaanib 'ada' nazar na uThi
haal us ka bhi mere haal sa tha
Ada Jafri
jo charagh sare bujha chuke unhen intizar kahan raha
ye sukun ka daur-e-shadid hai koi be-qarar kahan raha
Ada Jafri