tamam umr jo hansta hi rah gaya yaro
bala ka dard tha us shaKHs ki kahani mein
Firdaus Gayavi
tum ko aana hai to aa jao isi aalam mein
bigDe haalat gharibon ke sanwarte hain kahin
Firdaus Gayavi
wahi jo deta hai duniya ko uljhanon se najat
kabhi kabhi wahi uljhan mein Dal deta hai
Firdaus Gayavi
tamam jism ki parten juda juda karke
jiye chale gae qiston mein log mar mar ke
Fiza Kausari
ji tan mein nahin na jaan baqi
hai ishq ko imtihan baqi
France Gaudlib Queen Frasco
aaThon pahr lahu mein nahaya kare koi
yun bhi na apne dard ko dariya kare koi
Fuzail Jafri
aatish-fishan zaban hi nahin thi badan bhi tha
dariya jo munjamid hai kabhi maujzan bhi tha
Fuzail Jafri

