qadron ki haden toD nai tarah nikal
dam tujh mein agar hai to baghi ho ja
Farooq Nazki
sang-paraston ki basti mein shisha-garon ki KHair nahin hai
jin ki aankhen nur se KHali un ke dil hain aahan aahan
Farooq Nazki
sitare boti rahin nind se tahi aankhen
idhar ye haal ki daman bhi tar nahin hota
Farooq Nazki
suna hai log wahan mujh se KHar khate hain
fasana aam jahan meri bebasi ka hai
Farooq Nazki
tu KHuda hai to baja mujh ko Daraata kyun hai
ja mubarak ho tujhe tere karam ka saya
Farooq Nazki
aandhiyon ka KHwab adhura rah gaya
hath mein ek sukha patta rah gaya
Farooq Shafaq
aaj socha hai jagunga main raat mein
kachche phal sa mujhe toDta kaun hai
Farooq Shafaq