teri gali ke moD pe pahunche the jald hum
par tere ghar ko aate hue der ho gai
Faheem Shanas Kazmi
tumhaari yaad nikalti nahin mere dil se
nasha chhalakta nahin hai sharab se baha
Faheem Shanas Kazmi
us ke labon ki guftugu karte rahe subu subu
yani suKHan hue tamam yani kalam ho chuka
Faheem Shanas Kazmi
usi ne chand ke pahlu mein ek charagh rakha
usi ne dasht ke zarron ko aaftab kiya
Faheem Shanas Kazmi
wo jis ke hath se taqrib-e-dil-numai thi
abhi wo lamha-e-maujud mein nahin aaya
Faheem Shanas Kazmi
yun jagmaga uTha hai teri yaad se wajud
jaise lahu se koi sitara guzar gaya
Faheem Shanas Kazmi
zamin par na rahe aasman ko chhoD diya
tumhaare baad zaman o makan ko chhoD diya
Faheem Shanas Kazmi