guzra mere qarib se wo is ada ke sath
raste ko chhu ke jis tarah rasta guzar gaya
Faheem Shanas Kazmi
KHud apne hone ka har ek nishan miTa Dala
'shanas' phir kahin mauzu-e-guftugu hue hum
Faheem Shanas Kazmi
kin darichon ke charaghon se hamein nisbat thi
ki abhi jal nahin pae ki bujhae gae hum
Faheem Shanas Kazmi
kisi ke dil mein utarna hai kar-e-la-hasil
ki sari dhup to hai aaftab se baha
Faheem Shanas Kazmi
koi bhi rasta kisi samt ko nahin jata
koi safar meri takmil karne wala nahin
Faheem Shanas Kazmi
phir wahi sham wahi dard wahi apna junun
jaane kya yaad thi wo jis ko bhulae gae hum
Faheem Shanas Kazmi
tamam umr hawa ki tarah guzari hai
agar hue bhi kahin to kabhu kabhu hue hum
Faheem Shanas Kazmi