ye sair hai ki dupaTTa uDa rahi hai hawa
chhupate hain jo wo sina kamar nahin chhupti
Dagh Dehlvi
ye to nahin ki tum sa jahan mein hasin nahin
is dil ko kya karun ye bahalta kahin nahin
Dagh Dehlvi
yun bhi hazaron lakhon mein tum intiKHab ho
pura karo sawal to phir la-jawab ho
Dagh Dehlvi
yun mere sath dafn dil-e-be-qarar ho
chhoTa sa ek mazar ke andar mazar ho
Dagh Dehlvi
zalim ne kya nikali raftar rafta rafta
is chaal par chalegi talwar rafta rafta
Dagh Dehlvi
zamana dosti par in hasinon ki na itrae
ye aalam-dost aksar dushman-e-alam bhi hote hain
Dagh Dehlvi
zamane ke kya kya sitam dekhte hain
hamin jaante hain jo hum dekhte hain
Dagh Dehlvi