pi jate hain zahr-e-gham-e-hasti ho ki mai ho
hum sa bhi zamane mein bala-nosh na hoga
Anjum Rumani
qalandari hai ki rakhta hai dil ghani 'anjum'
koi dukan na koi kar-KHana rakhta hai
Anjum Rumani
ahe zara dil-e-KHun-gashta par nazar 'anjum'
usi sadaf se ajab kya guhar nikal aae
Anjum Rumani
sach ke saude mein na paDna ki KHasara hoga
jo hua haal hamara so tumhaara hoga
Anjum Rumani
samjhi gai jo baat hamari ghalat to kya
yan tarjuma kuchh aur hai aayat kuchh aur hai
Anjum Rumani
ye jitne masale hain mashghale hain sab faraghat ke
na tum be-kar baiThe ho na hum be-kar baiThe hain
Anjum Rumani
aankh khul kar abhi manus nahin ho pati
aur diwar se taswir badal jati hai
Anjum Saleemi