tere jate hi ye hua mahsus
aaine muskurana bhul gae
Anjum Ludhianvi
us ne dariya ko laga kar Thokar
pyas ki umr baDhai hogi
Anjum Ludhianvi
aaj 'anjum' muskura kar us ne phir dekha mujhe
shikwa-e-jaur-o-jafa phir bhul jaana hi paDa
Anjum Manpuri
kaam 'anjum' ka jo tamam kiya ye aap ne waqai KHub kiya
kam-baKHt isi ke laeq tha ab aap abas pachhtate hain
Anjum Manpuri
na puchh us ki dil-afsurdagi ki kaifiyyat
jo gham-nasib KHushi mein bhi muskura na saka
Anjum Manpuri
watan ke log satate the jab watan mein the
watan ki yaad satati hai jab watan mein nahin
Anjum Manpuri
ye do-dili mein raha ghar na ghaT ka 'anjum'
buton ko kar na saka KHush KHuda ko pa na saka
Anjum Manpuri