ye KHun rang-e-chaman mein badal bhi sakta hai
zara Thahar ki badal jaenge ye manzar bhi
Ali Ahmad Jalili
ai shaer! tera dard baDa ai shaer! teri soch baDi
ai shaer! tere sine mein is jaisa lakh bahe dariya
Ali Akbar Abbas
apna aap nahin hai sab kuchh apne aap se niklo
badbuen phaila deta hai pani ka Thahrao
Ali Akbar Abbas
fareb-e-mah-o-anjum se nikal jaen to achchha hai
zara suraj ne karwaT li ye tare Dub jaenge
Ali Akbar Abbas
ek sada ki surat hum is hawa mein zinda hain
hum jo raushni hote hum pe bhi jhapaTti raat
Ali Akbar Abbas
kabhi sar pe chaDhe kabhi sar se guzre kabhi panw aan gire dariya
kabhi mujhe baha kar le jae kabhi mujh mein aan bahe dariya
Ali Akbar Abbas
main apne waqt mein apni rida mein rahta hun
aur apne KHwab ki aab-o-hawa mein rahta hun
Ali Akbar Abbas