tha mujhe wahm-o-guman ki wo faqat meri hai
aur us ne bhi bharam mera banae rakkha
Aks samastipuri
tu sirf meri hai us ka ghurur hai mujh ko
agar ye wahm mera hai to koi baat nahin
Aks samastipuri
us ne yun rasta diya mujh ko
raste se haTa diya mujh ko
Aks samastipuri
yar main itna bhuka hun
dhoka bhi kha leta hun
Aks samastipuri
aae ho numaish mein zara dhyan bhi rakhna
har shai jo chamakti hai chamakdar nahin hai
Alam Khursheed
ab kitni kar-amad jangal mein lag rahi hai
wo raushni jo ghar mein bekar lag rahi thi
Alam Khursheed
ahl-e-hunar ki aankhon mein kyun chubhta rahta hun
main to apni be-hunari par naz nahin karta
Alam Khursheed