wo jugnu ho sitara ho ki aansu
andhere mein sabhi mahtab se hain
Akhtar Shahjahanpuri
ye bhi kya baat ki main teri ana ki KHatir
teri qamat se ziyaada tera saya chahun
Akhtar Shahjahanpuri
ye moajiza hamare hi tarz-e-bayan ka tha
us ne wo sun liya tha jo hum ne kaha na tha
Akhtar Shahjahanpuri
ye munsifan-e-shahr hain ye pasban-e-shahr
in ko batao nam jo balwaiyon ke hain
Akhtar Shahjahanpuri
zara yaadon ke hi patthar uchhaalo
nawah-e-jaan mein sannaTe bahut hain
Akhtar Shahjahanpuri
lafz likhna hai to phir kaghaz ki niyyat se na Dar
is qadar izhaar ki be-manawiyyat se na Da
Akhtar Sheikh
aarzu wasl ki rakhti hai pareshan kya kya
kya bataun ki mere dil mein hai arman kya kya
Akhtar Shirani