shayad yunhi simaT saken ghar ki zaruraten
'tanwir' man ke hath mein apni kamai de
Tanveer Sipra
shayad yunhi simaT saken ghar ki zaruraten
'tanwir' man ke hath mein apni kamai de
Tanveer Sipra
'tanwir' ab tu halq se bhonpu ka kaam le
bahre hue hain kan mashinon ke shor se
Tanveer Sipra
teri to aan baDh gai mujh ko nawaz kar
lekin mera waqar ye imdad kha gai
Tanveer Sipra
duniya ki kya chah karen
duniya aani-jaani hai
Tanweer Gauhar
kuchh aur ho gai dushwar nek-o-bad ki tamiz
ki ab to KHair ke parde mein shar nikalta hai
Tariq Matin
maut bar-haq hai to phir maut se Darna kaisa
ek hijrat hi to hai naql-e-makani hi to hai
Tariq Matin