اردو हिंदी
Dariya mein tughyani hai | Shaahi Shayari
dariya mein tughyani hai

Ghazal

Dariya mein tughyani hai

Tanweer Gauhar

;

dariya mein tughyani hai
basti basti pani hai

aah ki jangal hain aabaad
shahron mein virani hai

mushkil se ab kya Darna
is mein hi aasani hai

duniya ki kya chah karen
duniya aani-jaani hai

us ko to pachhtana hai
jis ne dil ki mani hai

main bhi man ka raja hun
wo bhi dil ki rani hai

ai dil us ko bhul bhi ja
ye kaisi man-mani hai

maut se 'gauhar' Darna kya
maut to ek din aani hai