kisi ko apne siwa kuchh nazar nahin aata
jo dida-war hai tilism-e-nazar se niklega
Akbar Hameedi
kitna man guman hai dene wale ko
dard diya hai aur mudawa rok liya
Akbar Hameedi
koi nadida ungli uTh rahi hai
meri jaanib ishaara ho raha hai
Akbar Hameedi
libas mein hai wo tarz-e-tapak-e-araish
jo ang chahe chhupana jhalak jhalak jae
Akbar Hameedi
nafas nafas ho saba ki tarah bahaar-angez
ufuq ufuq gul-e-hasti mahak mahak jae
Akbar Hameedi
aat din phir raha hun galiyon mein
mera ek shaKHs kho gaya hai yahan
Akbar Hameedi
wo bhi din tha ki tere aane ka paigham aaya
tab mere ghar mein qadam baad-e-saba ne rakkha
Akbar Hameedi