use bhulaya to apna KHayal bhi na raha
ki mera sara asasa isi makan mein tha
Ahmad Mahfuz
yahin gum hua tha kai bar main
ye rasta hai sab mera dekha hua
Ahmad Mahfuz
ye jo dhuan dhuan sa hai dasht-e-guman ke aas-pas
kya koi aag bujh gai sarhad-e-jaan ke aas-pas
Ahmad Mahfuz
ye kaisa KHun hai ki bah raha hai na jam raha hai
ye rang dekhun ki dil jigar ka fishaar dekhun
Ahmad Mahfuz
ye shughl-e-zabani bhi be-sarfa nahin aaKHir
sau baat banata hun ek baat banane ko
Ahmad Mahfuz
zaKHmon ko ashk-e-KHun se sairab kar raha hun
ab aur bhi tumhaara chehra khila rahega
Ahmad Mahfuz
ab shughl hai yahi dil-e-iza-pasand ka
jo zaKHm bhar gaya hai nishan us ka dekhna
Ahmad Mushtaq