kis ko bikna tha magar KHush hain ki is hile se
ho gain apne KHaridar se baaten kya kya
Ahmad Faraz
kise KHabar wo mohabbat thi ya raqabat thi
bahut se log tujhe dekh kar hamare hue
Ahmad Faraz
kisi bewafa ki KHatir ye junun 'faraaz' kab tak
jo tumhein bhula chuka hai use tum bhi bhul jao
Ahmad Faraz
kisi dushman ka koi tir na pahuncha mujh tak
dekhna ab ke mera dost kaman khenchta hai
Ahmad Faraz
kisi ko ghar se nikalte hi mil gai manzil
koi hamari tarah umr bhar safar mein raha
Ahmad Faraz
kitna aasan tha tere hijr mein marna jaanan
phir bhi ek umr lagi jaan se jate jate
Ahmad Faraz
kitne nadan hain tere bhulne wale ki tujhe
yaad karne ke liye umr paDi ho jaise
Ahmad Faraz