ye khule khule se gesu inhen lakh tu sanware
mere hath se sanwarte to kuchh aur baat hoti
Agha Hashr Kashmiri
duniya ke jo maze hain hargiz wo kam na honge
charche yunhi rahenge afsos hum na honge
Agha Mohammad Taqi Khan taraqqi
abru na sanwara karo kaT jaegi ungli
nadan ho talwar se khela nahin karte
Agha Shayar Qazalbash
aDe sidhe-sadhe baDe bhole-bhaale
koi dekhe is waqt chehra tumhaara
Agha Shayar Qazalbash
hamin hain maujib-e-bab-e-fasahat hazrat-e-'shair'
zamana sikhta hai hum se hum wo dilli wale hain
Agha Shayar Qazalbash
ek baat kahen tum se KHafa to nahin hoge
pahlu mein hamare dil-e-muztar nahin milta
Agha Shayar Qazalbash
is liye kahte the dekha munh lagane ka maza
aaina ab aap ka madd-e-muqabil ho gaya
Agha Shayar Qazalbash