apna ghar shahr-e-KHamoshan sa hai
kaun aaega yahan sham Dhale
Afzal Parvez
apna ghar shahr-e-KHamoshan sa hai
kaun aaega yahan sham Dhale
Afzal Parvez
azi-gah-e-dar-o-rasan mein mai-kada-e-fikr-o-fan mein
hum rindon se raunaq hai hum durweshon se mele hain
Afzal Parvez
dar-o-diwar bhi hote hain jasus
koi sunta na ho aahista bolo
Afzal Parvez
har musafir tere kuche ko chala
us taraf chhanw ghani ho jaise
Afzal Parvez
husn ki daulat us ki hai aur wasl ki ishrat bhi us ki
jis ne pal pal hijr mein kaTa jaur sahe dukh jhele hain
Afzal Parvez
karzar-e-ishq-o-sar-masti mein nusrat-yab hon
wo jununi dar tak jaane ko jo betab hun
Afzal Parvez