najd se jaanib-e-laila jo hawa aati hai
dil-e-majnun ke dhaDakne ki sada aati hai
Taashshuq Lakhnavi
muntazir tere hain chashm-e-KHun-fishan khole hue
baiThe hain dil bechne wale dukan khole hue
Taashshuq Lakhnavi
mujhe hai fikr KHat bheja hai jab se us gul-e-tar ko
hazaron bulbulen rokengi rassi mein kabutar ko
Taashshuq Lakhnavi
mujh se lakhon KHak ke putle bana sakta hai tu
main kahan se ek tera sa KHuda paida karun
Taashshuq Lakhnavi
mujh se kya puchhte ho dagh hain dil mein kitne
tum ko ayyam-e-judai ka shumar aata hai
Taashshuq Lakhnavi
mauj-e-dariya se bala ki chahiye kashti mujhe
ho jo bilkul na-muwafiq wo hawa paida karun
Taashshuq Lakhnavi
aamad aamad hai KHizan ki jaane wali hai bahaar
rote hain gulzar ke dar baghban khole hue
Taashshuq Lakhnavi
kabhi to shahidon ki qabron pe aao
ye sab ghar tumhaare basae hue hain
Taashshuq Lakhnavi
jis taraf baiThte the wasl mein aap
usi pahlu mein dard rahta hai
Taashshuq Lakhnavi

