KHauf aata hai apne sae se
hijr ke kis maqam par hun main
Siraj Faisal Khan
KHayal kab se chhupa ke ye man mein rakkha hai
mera qarar tumhaare badan mein rakkha hai
Siraj Faisal Khan
khuli aankhon se bhi soya hun aksar
tumhaara rasta takta hua main
Siraj Faisal Khan
khuli jo aankh to mahshar ka shor barpa tha
main KHush hua ki chalo aaj mar gai duniya
Siraj Faisal Khan
kitabon se nikal kar titliyan ghazlen sunati hain
tiffin rakhti hai meri man to basta muskuraata hai
Siraj Faisal Khan
likkha hai tariKH ke safhe safhe par ye
shahon ko bhi das banaya ja sakta hai
Siraj Faisal Khan
malik mujhe jahan mein utara hai kis liye
aadam ki bhul mera KHasara hai kis liye
Siraj Faisal Khan