ichhaD jaenge hum donon zamin par
ye us ne aasman par likh diya hai
Siraj Faisal Khan
chand baiTha hua hai pahlu mein
qatra qatra pighal raha hun main
Siraj Faisal Khan
dasht jaisi ujaD hain aankhen
in darichon se KHwab kya jhanken
Siraj Faisal Khan
dil ki diwar par siwa us ke
rang duja koi chaDha hi nahin
Siraj Faisal Khan
hath chhuTa to tirgi mein tha
sath chhuTa to bujh gain aankhen
Siraj Faisal Khan
hamein ranjish nahin dariya se koi
salamat gar rahe sahra hamara
Siraj Faisal Khan
jab se hasil hua hai wo mujh ko
KHwab aane lage bichhaDne ke
Siraj Faisal Khan
jaise dekha ho aaKHiri sapna
raat itni udas thin aankhen
Siraj Faisal Khan
aaj meri ek ghazal ne us ke honTon ko chhua
aaj pahli bar apni shairi achchhi lagi
Siraj Faisal Khan