hosh wale to ulajhte hi rahe
raste tai hue diwanon se
Shaukat Pardesi
adhura ho ke hun kitna mukammal
ba-mushkil zindagi bikhra hua hun
Shaukat Pardesi
hae us minnat-kash-e-wahm-o-guman ki justuju
zindagi jis ko na pae jo na pae zindagi
Shaukat Pardesi
hanste hanste bahe hain aansu bhi
rote rote hansti bhi aai hamein
Shaukat Pardesi
deta raha fareb-e-musalsal koi magar
imkan-e-iltifat se hum khelte rahe
Shaukat Pardesi
arq ki shoala-mizaji hai musallam lekin
main ne dekha mere sae se ye katraati hai
Shaukat Pardesi
apne parae thak gae kah kar har koshish bekar rahi
waqt ki baat samajh mein aai waqt hi ke samjhane se
Shaukat Pardesi
ai inqalab-e-nau teri raftar dekh kar
KHud hum bhi sochte hain ki ab tak kahan rahe
Shaukat Pardesi
ahd-e-aghaz-e-tamanna bhi mujhe yaad nahin
mahw-e-hairat hun ki itna bhi mujhe yaad nahin
Shaukat Pardesi