as aai kuchh is tarah shabdon ki jagir
'shahid' pichhe rah gae aage baDh gae 'mir'
Shahid Meer
zehn mein tu aankhon mein tu dil mein tera wajud
mera to bas nam hai har ja tu maujud
Shahid Meer
wahi saffak hawaon ka sadaf bante hain
jin daraKHton ka nikalta hawa qad hota hai
Shahid Meer
tujh ko dekha nahin mahsus kiya hai main ne
aa kisi din mere ehsas ko paikar kar de
Shahid Meer
tatilen ruKHsat huin khule sabhi school
saDkon par khilne lage pyare pyare phul
Shahid Meer
shajar ne lahlaha kar aur hawa ne chum kar mujh ko
teri aamad ke afsane sunae jhum kar mujh ko
Shahid Meer
shab guzri bujhne laga raushniyon ka shahr
lauTi sahil ki taraf thaki thaki ek lah
Shahid Meer
'shahid' likhna hai mujhe ye kis ki tarif
Dara Dara sa qafiya sahmi hui radif
Shahid Meer
one se aur lutf wafaon ka baDh gaya
sab zaiqa phalon mein nae paniyon ka hai
Shahid Meer

