jhankte raat ke gareban se
hum ne sau aaftab dekhe hain
Salman Akhtar
aisa nahin ki un se mohabbat na ho magar
pahle sa josh pahle si shiddat nahin rahi
Salman Akhtar
ek wahi shaKHs mujh ko yaad raha
jis ko samjha tha bhul jaunga
Salman Akhtar
hazar chahen magar chhuT hi nahin sakti
baDi ajib hai ye mai-kashi ki aadat bhi
Salman Akhtar
hum jo pahle kahin mile hote
aur hi apne silsile hote
Salman Akhtar
guftugu tir si lagi dil mein
ab hai shayad ilaj sannaTa
Salman Akhtar
dekhe jo meri neki ko shak ki nigah se
wo aadmi bhi to mere andar hai kya karun
Salman Akhtar
chand suraj ki tarah tum bhi ho qudrat ka khel
jaise ho waise raho banna bigaDna chhoDo
Salman Akhtar
ut samajhte the jis ko sare log
wo mere waste KHuda sa tha
Salman Akhtar