kaTegi kaise gul-e-nau ki zindagi ya-rab
ki is gharib ka KHanon mein ghar abhi se hai
Salam Sandelvi
aae jo chand tinke qafas mein saba ke sath
main ne unhin ko apna nasheman samajh liya
Salam Sandelvi
hamesha dur ke jalwe fareb dete hain
hai warna chand bayaban kisi ko kya malum
Salam Sandelvi
hai tishna-labi lekin hum kyun use zahmat den
apna hi lahu pi len saqi ko jagaen kya
Salam Sandelvi
gul-o-ghuncha asl mein hain teri guftugu ki shaklen
kabhi khul ke baat kah di kabhi kar diya ishaara
Salam Sandelvi
gulon ke rup mein bikhre hain har taraf kanTe
chale jo koi to daman zara bacha ke chale
Salam Sandelvi
dil ki dhaDkan bhi hai un ko nagawar
un se kuchh kahne ki jurat kya karen
Salam Sandelvi
chand tinkon ke siwa kya tha nasheman mein mere
barq-e-nadan ko samajh aai bahut der ke baad
Salam Sandelvi
ijli giregi sehn-e-chaman mein kahan kahan
kis shaKH-e-gulistan pe mera aashiyan nahin
Salam Sandelvi