is taraf bazm mein hum the wo the
us taraf shama thi parwana tha
Sakhi Lakhnvi
jaegi gulshan talak us gul ki aamad ki KHabar
aaegi bulbul mere ghar mein mubarakbaad ko
Sakhi Lakhnvi
jitenge na hum se bazi-e-ishq
aghyar ke piT paDenge panse
Sakhi Lakhnvi
jis ke ghar jate na the hazrat-e-dil
wan lage phand ne diwar ye kya
Sakhi Lakhnvi
kabe mein saKHt-kalami sun li
but-kade mein na kabhi aaiyega
Sakhi Lakhnvi
kabhi pahunchega dil un ungliyon tak
nagine ki tarah KHatim mein jaD ke
Sakhi Lakhnvi
kahna majnun se ki kal teri taraf aaunga
DhunDne jata hun farhad ko kohsar mein aaj
Sakhi Lakhnvi
KHal aur ruKH se kis ko dun nisbat
aise tare na aisa pyara chand
Sakhi Lakhnvi
KHuda ke pas kya jaenge zahid
gunah-garon se jab ye bar paen
Sakhi Lakhnvi