kaba o dair jidhar dekha udhar kasrat hai
aah kya jaane kidhar gosha-e-tanhai hai
Raza Azimabadi
aisa kisi se junun dast-o-gareban na ho
chaak-e-gareban ka bhi chaak gareban kiya
Raza Azimabadi
is chashm o dil ne kahna na mana tamam umr
hum par KHarabi lai ye ghar hi ki phuT-phaT
Raza Azimabadi
imarat dair o masjid ki bani hai inT o patthar se
dil-e-virana ki kis chiz se tamir hoti hai
Raza Azimabadi
ilahi chashm-e-bad us se tu dur hi rakhiyo
ki mast saKHt hun main aur ayagh nazuk-ta
Raza Azimabadi
ek dam ke waste na kiya kya kya ai 'raza'
dekha chhupaya toDa banaya kaha suna
Raza Azimabadi
hum ko mili hai ishq se ek aah-e-soz-nak
wo bhi usi ki garmi-e-bazar ke liye
Raza Azimabadi
gar gareban siya to kya naseh
sine ka chaak bin siya hi raha
Raza Azimabadi
dekhi thi ek raat teri zulf KHwab mein
phir jab talak jiya main pareshan hi raha
Raza Azimabadi