sab kuchh paDhaya hum ko murdarris ne ishq ke
milta hai jis se yar na aisi paDhai baat
Raza Azimabadi
KHwah kafir mujhe kah KHwah musalman ai shaiKH
but ke hathon mein bika ya hun KHuda ki saugand
Raza Azimabadi
kis tarah 'raza' tu na ho dhawane zamana
jab dil sa teri baiTha ho badnam baghal mein
Raza Azimabadi
kya kahen apni siyah-baKHti hi ka andher hai
warna sab ki hijr ki raat aisi kali bhi nahin
Raza Azimabadi
na kaba hai yahan mere na hai but-KHana pahlu mein
liya kis ghar base ne aah aa kar KHana pahlu mein
Raza Azimabadi
nau-mashq-e-ishq hain hum aahen karen ajab kya
gili jalegi lakDi kyunkar dhuan na hoga
Raza Azimabadi
afu phir kijiyo pairahan-e-yusuf ko ai KHayyat
siya jae to si pahle tu chaak-e-dil zuleKHa ka
Raza Azimabadi
sunte to the 'raza' hain sab hain baDe musalman
par kufr mein ziyaada nikle wo barahman se
Raza Azimabadi
zaKHm ke lagte hi kya khul gae chhati ke kiwaD
aage ye KHana-e-dilchasp hawa dar na tha
Raza Azimabadi

