ab is se kya gharaz ye haram hai ki dair hai
baiThe hain hum to saya-e-diwar dekh ka
Ravish Siddiqi
KHun-e-dil sarf kar raha hun 'rawish'
KHub se naqsh-e-KHub-tar ke liye
Ravish Siddiqi
jo rah ahl-e-KHirad ke liye hai la-mahdud
junun-e-ishq mein wo chand gam hoti hai
Ravish Siddiqi
ishq KHud apni jagah mazhar-e-anwar-e-KHuda
aql is soch mein gum kis ko KHuda kahte hain
Ravish Siddiqi
hazar ruKH tere milne ke hain na milne mein
kise firaq kahun aur kise visal kahun
Ravish Siddiqi
hazar husn dil-ara-e-do-jahan hota
nasib ishq na hota to raegan hota
Ravish Siddiqi
dil gawara nahin karta hai shikast-e-ummid
har taghaful pe nawazish ka guman hota hai
Ravish Siddiqi
dard aaluda-e-darman tha 'rawish'
dard ko dard banaya hum ne
Ravish Siddiqi
utan-e-shahr ko ye e'tiraf ho ki na ho
zaban-e-ishq ki sab guftugu samajhte hain
Ravish Siddiqi