main us ki nazron ka kuchh is liye bhi hun qail
wo jis ko chahe use dekhna sikhata hai
Rana Amir Liyaqat
main jaanta hun mohabbat mein kya nahin karna
ye wo jagah hai jahan qais bhi phisalta hai
Rana Amir Liyaqat
main haw-hu pe kahani ko KHatm kar dunga
ye aam baat nahin hai, ise KHabar liya jae
Rana Amir Liyaqat
manus raushni hui mere makan se
wo jism jab nikal gaya resham ke than se
Rana Amir Liyaqat
aao aankhen mila ke dekhte hain
kaun kitna udas rahta hai
Rana Amir Liyaqat
kai tarah ke tahaif pasand hain us ko
magar jo kaam yahan phul se nikalta hai
Rana Amir Liyaqat
is daur-e-na-murad se ye tajraba hua
diwar guftugu ke liye behtarin hai
Rana Amir Liyaqat
inT se inT joD kar, KHwab bana raha hun main
raKHne na Dal mere yar' KHwab ki dekh-bhaal mein
Rana Amir Liyaqat
hazar raste tere hijr ke ilaj ke hain
hum ahl-e-ishq zara muKHtalif mizaj ke hain
Rana Amir Liyaqat

