jo Dubna hai to itne sukun se Dubo
ki aas-pas ki lahron ko bhi pata na lage
Qaisar-ul-Jafri
jis din se bane ho tum masiha
haal aur KHarab ho gaya hai
Qaisar-ul-Jafri
hawa KHafa thi magar itni sang-dil bhi na thi
hamin ko shama jalane ka hausla na hua
Qaisar-ul-Jafri
har shaKHs hai ishtihaar apna
har chehra kitab ho gaya hai
Qaisar-ul-Jafri
ghar lauT ke roenge man bap akele mein
miTTi ke khilaune bhi saste na the mele mein
Qaisar-ul-Jafri
fan wo jugnu hai jo uDta hai hawa mein 'qaisar'
band kar loge jo muTThi mein to mar jaega
Qaisar-ul-Jafri
diwaron se mil kar rona achchha lagta hai
hum bhi pagal ho jaenge aisa lagta hai
Qaisar-ul-Jafri
dastak mein koi dard ki KHushbu zarur thi
darwaza kholne ke liye ghar ka ghar uTha
Qaisar-ul-Jafri
asti mein hai wo sannaTa jangal mat lage
sham Dhale bhi ghar pahunchun to aadhi raat lage
Qaisar-ul-Jafri