اردو हिंदी
Teri gali mein tamasha kiye zamana hua | Shaahi Shayari
teri gali mein tamasha kiye zamana hua

Ghazal

Teri gali mein tamasha kiye zamana hua

Qaisar-ul-Jafri

;

teri gali mein tamasha kiye zamana hua
phir is ke baad na aana hua na jaana hua

kuchh itna TuT ke chaha tha mere dil ne use
wo shaKHs meri murawwat mein bewafa na hua

hawa KHafa thi magar itni sang-dil bhi na thi
hamin ko shama jalane ka hausla na hua

mere KHulus ki saiqal-gari bhi haar gai
wo jaane kaun sa patthar tha aaina na hua

main zahr pita raha zindagi ke hathon se
ye aur baat hai mera badan hara na hua

shuur chahiye tartib-e-KHar-o-KHas ke liye
qafas ko toD ke rakkha to aashiyana hua

hamare ganw ki miTTi hi ret jaisi thi
ye ek raat ka sailab to bahana hua

kisi ke sath gain dil ki dhaDkanen 'qaisar'
phir is ke baad mohabbat ka hadisa na hua