apne junun-kade se nikalta hi ab nahin 
saqi jo mai-farosh sar-e-rahguzar tha
Pandit Jawahar Nath Saqi
urai bhalai ki surat hui 
mohabbat mein sab kuchh rawa ho gaya
Pandit Jawahar Nath Saqi
chhu le saba jo aa ke mere gul-badan ke panw 
qaem na hon chaman mein nasim-e-chaman ke panw
Pandit Jawahar Nath Saqi
dil bhi ab pahlu-tahi karne laga 
ho gaya tum sa tumhaari yaad mein
Pandit Jawahar Nath Saqi
falak pe chand sitare nikalne hain har shab 
sitam yahi hai nikalta nahin hamara chand
Pandit Jawahar Nath Saqi
hum ko bharam ne bahr-e-tawahhum bana diya 
dariya samajh ke kud paDe hum sarab mein
Pandit Jawahar Nath Saqi
hua na qurb-e-talluq ka iKHtisas yahan 
ye ru-shanas zi-ra-e-baida aaya tha
Pandit Jawahar Nath Saqi
jaan-o-dil tha nazr teri kar chuka 
tere aashiq ki yahi auqat hai
Pandit Jawahar Nath Saqi
jam gae rah mein hum naqsh-e-qadam ki surat 
naqsh-e-pa rah dikhate hain ki wo aate hain
Pandit Jawahar Nath Saqi

