nasha mein sujhti hai mujhe dur dur ki
naddi wo samne hai sharab-e-tuhur ki
Nazm tabaa-tabaa.ii
apni duniya to bana li thi riya-karon ne
mil gaya KHuld bhi allah ko phuslane se
Nazm tabaa-tabaa.ii
loTte rahte hain mujh par chahne walon ke dil
warna yun poshak teri malgaji hoti nahin
Nazm tabaa-tabaa.ii
kiya hai us ne har ek se visal ka wada
is ishtiyaq mein marna zaruri hota hai
Nazm tabaa-tabaa.ii
kaba o but-KHana aarif ki nazar se dekhiye
KHwab donon ek hi hain farq hai tabir mein
Nazm tabaa-tabaa.ii
jo ahl-e-dil hain alag hain wo ahl-e-zahir se
na main hun shaiKH ki jaanib na barhaman ki taraf
Nazm tabaa-tabaa.ii
dil is tarah hawa-e-mohabbat mein jal gaya
bhaDki kahin na aag na uTTha dhuan kahin
Nazm tabaa-tabaa.ii
dard-e-dil se ishq ke be-pardagi hoti nahin
ek chamak uThti hai lekin raushni hoti nahin
Nazm tabaa-tabaa.ii
ichhaD ke tujh se mujhe hai umid milne ki
suna hai ruh ko aana hai phir badan ki taraf
Nazm tabaa-tabaa.ii